Tuesday, 15 January 2013

when person becomes true devotee?

Radhe Radhe sabko,

Jaisa ki meine apne last blog Gopi cheerharan leela mein bataya, ki insaan ko bhagwaan se milne ke liye vaasna jaise vikaar se mukt hona padta hai, tabhi insaan bhagwaan ko paa sakta hai.

Apne inhi vikaar ke karan hi gopiyan shri krishna ka anubhav nhi kar paa rahi thi, but gopi cheerharan leela ke baad unka vikaar shri krishna ne door kar diya.

Mein aap sabko ek story sunata hun is sandharbh mein:

Ek Sant ke paas thi paras mani(lohe ko sparsh se lohe ko sona bana deti h).
koi ek insaan uska chela ban gaya.
wo insaan bhagwad bhajan aur bhagwad naam ke liye nahi, balki us paaras mani ko churane ke liye Sant ka chela ban gaya tha.
ab sant kumbh ke mele mein snan karne chala gaya, aur peeche se us chele ne poora aashram dhundh liya.
jab use wah paras mani nahin mili, to usne kutiya ko hi khodna shuru kar diya.
Jab Sant ji wapis aaye, to unhone pucha ye tune kyun kiya.
Chele se sab baat sach sach bata di.
to Sant ji ne kaha, wo khidki par padi to hai paras mani.
jab chele ne khidki mein jakar dekha, to usmein lohe ki dibiya(dibbi) thi.
Chele ne bola ye to mere haath mein kafi baar aayi, par meine ise phenk diya, kyunki ye dibbi to lohe ki hai.
agar ismein paras mani hoti , to ye dibbi sone ki ban jati.

Jab sant ne us dibiya ko khola, to paras mani ek aavaran(covering) mein lipti hui thi.
isliye lohe ki dibiya sone ki nahin ban paa rahi thi.

Phal Shruti(Lesson):
is kahani se humein ye lesson milta hai, ki hum to hai hi thakur ji ke.
bas is vaasna(vikaar) ke aavaran(covering) ke karan hum thakur ji se mil nahin paa rahe hain.
jis din ye vikaar hamare andar se mit jate hain, us din hum thakur ji ke ho jayenge.
jab ye jeev apne aap ko thakur ji ko samarpit kar deta hai, thakur ji kripa karke ye aavaran hata dete hain
aur hamesha ke liye humein apna bana lete hain.



4 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Main vasna ki utpatti ke sambandh me puchna chah raha tha .

    ReplyDelete
    Replies
    1. haan bilkul, aap bejijhak pucchiye.
      yaha vaasna se mera matlab sirf 'lust' se nahi tha.
      vaasna bhi 3 tarah ki hoti hai:
      1. sharirik vaasna
      2. maansik vaasna
      2. Budhigat vaasna

      so i am basically referring to any kind of 'vikaar' in us.
      krishna ko paane ke liye mann/tan/budhi mein kisi tarah ka vikaar nahin hona chahiye.

      Delete