Radhe Radhe Sabko,
With this post, i want to explain the meaning of the word Satchitanand or Satchidanand(सच्चिदानन्द).
Meaning:
Satchitanand(Sat+Chit+Anand) swaroop bhagwan ko hum baar baar abhinandan karte hain.
parmatma ke 3 swaroop shastro mein kahe gaye hain:
1. Sat
2. Chit
3. Anand
Meaning of Sat:
Sat ka matlab jo kabhi naash na ho, parmatma avinashi hai.
for example, jaise badal aakash mein bante hain, badal to mit jate hain, par aakash kabhi nhi mit ta.
aise hi ye sansaar bhagwan ne banaya hai, sansaar ka astitva(existence) sirf bhagwaan se hi hai.
Meaning of Chit(gyan):
Chit kahte h chetan ko,
bhagwan chetan hai aur sansaar jad(जड़) hai.
jaise hamara ye jad sharis aatma se aashrit(dependent) hai, isi tarah se, ye jad sansaar parmatma se aashrit hai.
is sansaar mein jaha kahi bhi chetna dikhai deti h, wo us parmatma ka hi ansh hai.
Meaning of Anand:
is sansaar mein humein jaha kahi se bhi anand mil raha hai, wo us paramatma ke anand sindhu ka ek bindu matra hai.
humara chit to bindu swaroop se bhi khush ho jata hai, to sochiye us sindhu swaroop mein kitna anand hoga.
infact us anand ki to kalpana hi nahi ki ja sakti.
bhagwaan ka doosra naam hi anand hai kyunki Anand is main component of all these 3.
Hamare jeevan mein aawashyakta(want) to hai paramatma ki, but hum kaamna(desire) karte hain sansaar ki.
here is the proof:
har insaan jeena chahta hai, matlab use SAT chahiye
har insaan ko gyan chahiye, matlab use CHIT chahiye
har insaan khush rahna chahta hai, matlab use ANAND chahiye.
is tarah har insaan to chahiye (SAT+CHIT+ANAND) jo ki paratma hai.
ye 3 aawashyakta(want) natural hai, baki sab kaamna(sansaar ki desire) unnatural hai.
is kaamna ke khatam hote hi insaan ka hriday(mann) krishna ke premanand se prakashit ho jayega.
radhe radhe!!!
The purpose of this blog is to create awareness of shri radha krishna naam(in Hindi / English). I want to share beautiful bhajans of krishna and meaning(by mridul shastri ji, nikunj kamra, vinod aggarwal ji). I want to share beautiful 'leela'(stories) of shri krishna. All the 'leela' of shri krishna(uddhav story, gopi cheerharan, raas leela, ukhal story, gopi story etc) give some message, I want to bring that message to notice. I also want to let you read meera bai stories and bhajans.
Thursday, 17 January 2013
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
I think kamna shunya hone ke liye ghrina ki aawashyakta padegi.kyonki sansarik padarthon se kamnayein already jud chuki hai.but jahan ghrina,wahan prabhu se duri aur aanand ki khoj adhuri.phir yeh kaise sambhav ho payega?
ReplyDeletehar cheez ke do pehlu hote hain:
Deleteinsaan(aatma) se ghrina/vairbhaav/irshya ishwar se doori badati hai, but sansarik padarthon se ghrina/tyag ishwar se doori ghatati hai.
aur humara to swayam ke prayaas se kaamna shunya hona bahut mushkil hai is kalyug mein,
kyunki jo cheez hum roz dekhte hain/sunte hai, wo humari kaamna ko badava deti hain.
isliye bhagwaan naam ko bahut mahatva(importance) di jati hai kalyug mein, kyunki aisa karne se prabhu kripa karte hai aur swayam hi humare andar se kaamna ko khatam kar dete hain, taki hum prabhu ko paa sake.
infact sirf maushya ke paas hi ye ability hai, ki wo in ghrina jaise pasho ke sahi/galat nature ko pahchaan sake.
Deletetabhi maanviya jeevan sabse shreshtha mana gaya hai.