Tuesday, 29 January 2013

shri krishna maha raas leela - part 2

Radhe radhe sabko,

ab tak ki leela mein gopiyan shri krishna ke paas pahunch gayi hai raas leela ke liya, jaisa ki raas leela part 1 mein bataya gaya.

shri krishna ne gopiyon ki raas se pehle parikshaa leni chahi, aur wo bole:

shri krishna gopiyon se kahne lage -
aapka swagat hai, kaho braj mein sab kushal to hai!!!
aap sab is samay kaise daudi aayi..
aap sab ka is samay ratri mein aana theek nahin hai.
aap sab ke pita, pati, ghar waale aap sab ko ghar mein naa pakar vyakul ho rahe honge.
yah kaarya dharam vipreet hai.
agar tumhara prem shudh hoga, to tum sab ghar baithe hi mujhe prapt kar logi.

shyaam sunder ki aisi kathor baatein sunkar sabhi gopiyaan shoka kul ho uthi.
aankho se dukh ke aansu jhar-jhar bahane lage.

Gopiyan shri krishna se kahne lagi- 
aaj aap itne kathor kyun ho rahe hain.
pehle to aapne apni baansuri se humara naam lekar humein yahan bulaya.
ab humein waapis kyun lauta rahe hain.

shri krishna ne kaha-
deh ka swami pati hota hai, is sharir ka koi pati/pita/bhai hoga.
kintu aatma ka koi pati/pita nahi hota.
aatma ka dharam se paramatma se milna.
tum ghar mein rahti hui, apna deh dharam nibhati hui, apni aatma ko mujh mein lagaye rakho.
tumhari yahi dharam maryada hai.

Gopiyan kahne lagi-
hum to aapki prem bhakta hai.
hum apni sab aakansha, vaasna ko chhod kar aapke paas aayi hai.
humein apne paas hi rakh lijiye.
aapki vanshi se humara sansaar ujaad diya hai.

Gopiyon ke yahi bhaav bhajan ke roop mein is prakaar hain:

ऐ श्याम तेरी वंशी की कसम, तेरी वंशी ने उजाड़ दिया,
कह-कह के बंधन का खूंटा, तेरी वंशी ने उखाड़ दिया ।
(यहाँ उजाड़ने से अभिप्राय यह है कि अब हम संसार के काबिल नहीं रही है, जब से आपकी शरण में आयी है, यह संसार अब हमारे किसी काम का नहीं है)

हम रही ना जग की अब काबिल, तेरी चाहत की है हम तालिब,
कल ना पडत दिन रैन हमें, तेरी चाहत ने हमें मार दिया ।

नहीं लौट के हमने जाना है, तेरे अधरामृत को पाना है,
ऐ मधुसुदन कर दो पूरा, जो तुमने है इकरार किया ।

aage ki maha raas leela, is in raas leela part 3.

No comments:

Post a Comment